Ek aah si aisi di hai sunaayee
Jiska na koi sahara, na wajood,
ki ghumon ka phir chal raha hai silsila
Aur phir hain tanha hum koi sahara na maujood...
sisakti aankhein kehti toh bahut kuch hain
par na samajh sakta hai har insaan
Ek hum bhi hain aisi uljhan mei fasse
Ki lab khamosh hain bolti hai aankho ki zubaan...
Kahan hai woh bandon ka rakhwala?
Kahan hai woh pyaar ki madhushala?
Woh jo dard leta aur khushi deta hai
Kya mere hisse ki bhi auron mein baant deta hai?
Har bikhare pal tooti khushi ko
Sametne ki koshish pe koshish karti hoon
Aur woh haath pe haath dhare rehta hai
Aur paani ki tarah sab baha deta hai ...
I wish words could say everything. Or rather, I could use them for saying everything. To make the long story short, life's not smooth at my end.