Bus ek baar
Woh pal pal ko mehkati khushiyan
Woh waqt bewaqt aati siskiyan
Bus ek baar aur jeena chahti hoon unhe
Woh saari ki saari galatiyan
Woh athkheliyan aur nadaniyan
Bus ek baar aur karna chahti hoon unhe
Woh doston ke baahon ke sahare
Woh yaadein jo baaki hain paas hamare
Bus ek baar aur yaad kar lena chahti hoon unhe
Woh roothne-manaane ka khel
Woh pyaar se bhara dilon ka mel
Bus ek baar aur dekhna chahti hoon unhe
Woh waqt bewaqt aati siskiyan
Bus ek baar aur jeena chahti hoon unhe
Woh saari ki saari galatiyan
Woh athkheliyan aur nadaniyan
Bus ek baar aur karna chahti hoon unhe

Woh doston ke baahon ke sahare
Woh yaadein jo baaki hain paas hamare
Bus ek baar aur yaad kar lena chahti hoon unhe
Woh roothne-manaane ka khel
Woh pyaar se bhara dilon ka mel
Bus ek baar aur dekhna chahti hoon unhe
Labels: Blues, Poetry, Rememberance
1 Comments:
beautifully blue...
*sighs*
love u pheebes
By
delhidreams, at 6/09/2007 4:14 AM
Post a Comment
<< Home