Woh ...
Ek ehsaas hai woh
Darr hai kahin kho na dun usse
Ek khwaab hai woh
Darr hai neend se na uthana mujhe
Ek kaayam waayde ki tarah
Ek saathi ek saaye ki tarah
Mere saath mein hai chalta woh
Mere wajood mein hai milta woh
Yun ruke hue se raaste
Yun thode badhe hue se faasle
Gunguna kar jaate hain chupke se
Abhi kuch der mein hai sehar
Pyaar hai uski pukar se
Pyaar hai uske pyaar se
Pyaar hai uski shararat se
Aur halki si muskurahat se
Ae khuda mujhe maaf kar dena
Tera sajda is tarah na kar paoon
Ki uski adalat mein ek mujarim
Karaar ho jaon aur wohi reh jaoon...
Darr hai kahin kho na dun usse
Ek khwaab hai woh
Darr hai neend se na uthana mujhe
Ek kaayam waayde ki tarah
Ek saathi ek saaye ki tarah
Mere saath mein hai chalta woh
Mere wajood mein hai milta woh
Yun ruke hue se raaste
Yun thode badhe hue se faasle
Gunguna kar jaate hain chupke se
Abhi kuch der mein hai sehar
Pyaar hai uski pukar se
Pyaar hai uske pyaar se
Pyaar hai uski shararat se
Aur halki si muskurahat se
Ae khuda mujhe maaf kar dena
Tera sajda is tarah na kar paoon
Ki uski adalat mein ek mujarim
Karaar ho jaon aur wohi reh jaoon...
1 Comments:
O my god...ishq main log kya khoobsurat shayari farmaney lagtey hain..wah wah...hum to fultush fidaa ho gaye is kavita pey :)
Pushkin
By Anonymous, at 12/12/2006 1:55 AM
Post a Comment
<< Home